[Intro]
Paas aaye...
Dooriyan phir bhi, kam na hui...
Ek adhuri... si hamari... kahani rahi...
[Verse 1]
Aasman ko zameen... ye zaroori nahi...
Jaan le! Jaan le...
Ishq saccha wahi... jisko milti nahi...
Manzilein... Manzilein...
Rang the, noor tha... jab qareeb tu tha...
Ek jannat sa tha... ye jahan...
Waqt ki ret pe... kuch mere naam sa...
Likh ke chhod gaya... tu kahan...?
[Chorus]
Hamari... adhuri kahani...
Hamari... adhuri kahani...
Hamari... adhuri kahani...
Hamari... adhuri kahani...
[Verse 2]
Khushbuon se teri... yoon hi takra gaye...
Chalte-chalte dekho na... hum kahan aa gaye...
Jannatein 'gar yahin... tu dikhe kyun nahi...?
Chaand-suraj sabhi... hain yahan...
Intezaar tera... sadiyon se kar raha...
Pyasi baithi hai... kab se yahan...
[Chorus]
Hamari... adhuri kahani...
Hamari... adhuri kahani...
[Verse 3]
Pyaas ka ye safar... khatam ho jayega...
Kuch adhura sa jo tha... poora ho jayega...
Jhuk gaya aasman... mil gaye do jahan...
Har taraf hai... milan ka samaa...
Doliyan hain sajin... khushbuen har kahin...
Padhne aaya... Khuda khud yahan...
[Chorus]
Hamari... adhuri kahani...
Hamari... adhuri kahani...
Hamari... adhuri kahani...
Hamari... adhuri kahani...