koi maujoodgi nahi tumhari zindagi mein,
tum wahan, duniya ke kisi aur kone mein,
hamare darmiyaan saagaron ki doori,
lambi judaai, lambi doori ka pyaar,
hamara pyaar sukhi patte jaisa.
na aankhon se aankhon ka milna,
na muskurahaton ka leen-deen,
na haathon se haath milana,
na ungliyon ka khel,
na baahon ki jhappi,
na taangon ka lapetna,
na jismon ka uljhna,
na hothon ka tere hothon se milna,
hai rabba, nahi choom sakta teri hoth,
hamara pyaar sukhi patte jaisa.
lambi doori ka pyaar,
judaai ka pyaar,
hamara pyaar sukhi patte jaisa.
be-jaan,
be-maqsad,
be-khabar,
ek anjaani halat mein qayed,
milne ki koi ummeed nahi,
romance kab ka khatam ho chuka,
hamara pyaar sukhi patte jaisa,
lambi doori ka pyaar,
hamara pyaar sukhi patte jaisa…