Dil ke shaher mein khamoshi hai
Tere naam ki ek roshni hai
Har mod pe tu yaad aata hai
Saans bhi bas tere geet gaati hai
Mukhda: Ojaan-e-jahaan, tu kabhi toh aaja
Meri rooh se meri duaon mein samaa jaa
Intezaar tera raatien gin gin ke karoon
Tere bina main kaise jeeun.
Antara 1: Chand taare bhi poochte mujhse
Teri baatien kyun likhti rahti hoon
Har khawab mein teri tasveer sajaake
Apni tanhai se ladti rahti hoon
Antara 2: Phir bhi dil ko yaqeen hai yeh
Tu ek din zarur aayega meri duaon
Ka rang lekar meri bahoon mein
Samaa jayega
Mukhda: O jaan-e-jahan tu kabhi toh aaja
Meri rooh se meri duaon mein samaa jaa
Intezaar tera raatien gin gin ke karoon
Tere bina main kaise jeeun
By: Gou k