_*Chhota sa Kamra*_
Duniya meri ek chhota sa kamra,
Main araam karta khidki se bahar ki or dekhta rehta hu.
woh khidki k bahar ek diwaar rang konsa malum nahi,
kabhi rango k naam padhe nahi Ishq ka rang malum nahi.
Mohabbat ki baat pr khamosh udaas ho jaate hain,
Mere sang rehte hain mere kirdaar chaar se ziyada sab pareshan ho jaate hain.
Duniya meri ek chhota sa kamra,
Main araam karta khidki se bahar ki or dekhta rehta hu.
sochta hu yaha se bahar niklu apna naam batau apna naam banau,
Mijaaz halka waqt pe waqt badal jata h ek pal me kese khwaab hakikat banau.
pal pal me badal jata h kirdaar kabhi ek rahe toh kuchh sahi gazal banau,
Shayar Aaj kal likh raha h sabhi meri yaadein Main aau toh koi gana banau.
Bhule Zamana toh khairiyat ka khayal aaya h,
yaadein taza hui woh toh Aaj likhne ka khayal aaya h.
Main likhna toh chahta hu sawal k yaadein woh mere udaas hone pe kiyon aati hain,
Mera mijaaz halka waqt pe waqt badal jata h isliye likh raha hu k Dil ki zubani mere samajh kiyon nahi aati hain.
Main thik hu,
Shayar bimaar nahi hu.
Mera khwaab ek raat sukun neend mil jaye subha ho meri ankh na khul paye,
sar dard h thoda, thoda paero me bhi dard h, likh raha hu toh thoda haatho me bhi dard h.
Main thik hu,
Shayar bimaar nahi hu.
Likhta hu toh kuchh likhne k liye samajh nahi aata,
Baato me bolne k liye kuchh samajh nahi aata.
chahta hu woh ban jau padhai karta hu kuchh samajh nahi aata,
Imtehan karta hu naam nahi aata yaha kuchh samajh nahi aata.