Jago jawanon, inqilab lao
Duniya mein shor macha hai,
Tum kab tak yun soye rahoge?
Waqt ka dariya beh raha hai,
Tum kab tak yun khoye rahoge?
Dushman ki chaalein jaari hain,
Zulmat ki deewarein khadi hain
Sach ki sada dabai ja rahi,
Batil ki taqat badi hai
Lekin tumhari lalkaar baaqi,
Tum mein wohi hosla baaqi
Soyi hui taqat jagaao,
Soye huey ko raah dikhlaao
Khyber ka maidan yaad karo,
Jab Haiderؓ ki zarb chamki thi
Batil ki deewar larz gayi,
Jeet ki gonj falak tak pahunchi thi
Tipu ki ghairat, jurat ko dekho,
Dushman dehlta tha naam se uske
Zulm ke aage sar na jhukaaya,
Har maidan mein aage barha
Tum bhi uthao, tum bhi badho,
Apni pehchaan ko pehchano!
Dushman ki saazish mitti mein milaao,
Batil ke chehre pe saaya ban jao
Yaad rakho Jalaluddin ka qissa,
Chingiz bhi kaanp uthha tha jiss se
Haqq ke liye maidan mein uttra,
Zulm ke toofan ko rok diya
Tum bhi wohi, khoon bhi wohi,
Kyun larzte ho, kyun jhijakte ho?
Batil ki taqat kaaghaz ki deewar,
Tum lalkaaroo, sab bikhra jaayega
Taqat tumhari, josh tumhara,
Zulm ke aage jhuk na jaana
Phat jaayenge batil ke darwazay,
Tum ho woh jo taqdeer bana do
Yeh waqt hai apna loha manwaane ka,
Yeh waqt hai maidan mein aane ka
Be-khauf ho, be-baaq banho,
Duniya ko apni pehchaan dikhao
Jaga do jawanon, inqilab lao,
Taqat dikhao, lalkaar machao
Dushman ke aywan larzney lagain,
Islam ka parcham lehra do