Hasiye, miliye, baatein kariye roothne se kya hoga!
Na tum jaano, na hum jaane, kab kya aakhiri baar hoga.
Haan, zindagi ke har pal mein ek naya rang hota hai Jaise,
Chandani raaton mein, khilte hai sapne jaise,
Har ek mulaqat mein, milte hai apne jaise.
Kyun roothna, kyun door jaana,
Pyar bhari baaton se dil ko behlana.
Kyun na har pal ko yunhi jee lein,
Kyun na dard ko pyar se see lein.
Na jaane kab kaun bichhad jaaye,
Kyu na Is pal ko apna banaya jaaye...