Tha main bimaar
Huwa tha pyaar
Baraa lachaar
Jaata mein haar
Sunaya ek ko, Woh tha mera yaar
Bolatha usne tu kar izhaar
Kiya izhaar
Bola karta hu pyaar
Usne dil diya maar
Mein aur laachar
Rone Laga yaar
Bola hoga naa pyaar
Meine kara nishar
Jaana hai paar
Tu sunn mere yaar
Karu mein pyaar
Tu kar ikraar
Firr Baate Hui chaar
Woh samjhi meri pyaar
Usne Kiya ikraar
Mein dil gaya haar
Samhala tha usne, jo dil diya yaar
Usne Kara tha pyaar
Parr ghair banaya toh chubh ne laga yaar
Dil dukhadoon nhi itna bekaar
Chora tha shaar
Toh hogaya paar
Samjhaun usko, ki karta hoon pyaar
Woh kehti mujhko, woh baari laachar
Pareshani thi usko, aaya parivaar
Trauma bhi tha ek, jo bara bekaar
Uske binaa sab lagta bezaar
Chahu mein itna woh samjhe na yaar
Woh kehti mat karo pyaar
Isme Jaoge haar
Ishq hi aisa dono bimaar
Kaise bataun ke pehle jata tha haar
Jabse tu aayi, mein Jeetu baar baar
Now I'm the star
Log dekhe mujhe chaar
Jaise mano mein unka yaar
Pehle ego tha bohot, tune sikhaya pyaar
gaya rab ke darbaar
Shikayat ki, maanga tha pyaar
Jhukta nhi tha, ab toh woh bhi bekaar.
Ishq kiya tha,kiya tha maine pyaar
Agar yeh galti hai, toh karu haar baar
Uski awaaz jaise koi sundaar sitaar
Ae khuda tu kar na atyachaar
Woh yaad aati, toh dil hota bekaraar
Yaad toh woh harr waqt ati, kaise bataun
Mein Aisa kyaa karu, jo usko paun
Haar raat mein akela, usko hi bulaun
Khwabo mein aati, kehti tumko sulaun
Kyaa pata mann mein kehti chalo aur rulaun
Pehle likhta nhi,ab verses likhu paper faar
Ishq mein bewakoof, nhi toh mein samajhdar
Likhu mein aisa, khud ajaye sur ke taar
Likhawat aisa log samjhe sasta Gulzar
Tareef kya karoon, mere paas toh asli yaar
Keemti mein itna ke sonaa lage bekaar
Meri ehmiyat jaane sirf 4
Mere chahne wale, mere yaar
Woh uparwala, aur woh log jo hain bimaar
Haath badao, like I'm a star
No ego, ab mujhe sabse pyaar
Haan..sapna tha tu, tu hi tha pyaar
Maan meri baat, sunle pukaar
Ishq mera baraa zordaar
Tere bina sab lagta bezaar